jis shaḳhs kī ho ziist faqat naam se tere
us shaḳhs kā kyā haal ho paiġhām se tere
gaalī hai ki hai sehr koī yā ki hai afsūñ
jī shaad huā jaatā hai dushnām se tere
hai apnī ḳhushī is meñ ki to jis meñ ḳhushī ho
ārām hai apne ta.iiñ ārām se tere
āhista qadam rakhiyo tū ai nāqa-e-lailā
majnūñ kā bañdhā aatā hai dil gaam se tere
jab kūche meñ jā baiThte haiñ tere to apnī
āñkheñ lagī rahtī haiñ dar-o-bām se tere
hai apne hameñ kaam se kaam ai but-e-ḳhud-kām
ham kaam nahīñ rakhte haiñ kuchh kaam se tere
kyā hijr kī raat aa.ī ki mānind-e-charāġhāñ
phir jalne lage daaġh 'hasan' shaam se tere