ham na hañste haiñ aur na rote haiñ
umr hairat meñ apnī khote haiñ
khā ke ġham ḳhvān-e-ishq ke mehmān
haath ḳhūn-e-jigar se dhote haiñ
vasl hotā hai jin ko duniyā meñ
yārab aise bhī log hote haiñ
kos-e-rahlat hai jumbish-e-har-dam
aah tis par bhī yaar sote haiñ
dil lagā us se mardum-e-dīda
saath apne hameñ Dubote haiñ
āh-o-nāla se vo ḳhafā hai abas
kāñTe ham apne haq meñ buute haiñ
yaad aatī haiñ us kī jab bāteñ
dil 'hasan' donoñ mil ke rote haiñ