Meer Hasan

aankhon mein hain haqir jis-tis ke

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
āñkhoñ meñ haiñ haqīr jis-tis ke
nazroñ se gir ga.e haiñ ham kis ke
dil kā hamdam ilaaj mat kar ab
zaḳhm marham-pazīr haiñ is ke
kaun aatā hai aisā hosh-rubā
sabr o tāqat yahāñ se kyuuñ khiske
dekhtī hai ye kis kī āñkhoñ ko
kyuuñ khule haiñ ye chashm nargis ke
bas kahīñ thak bhī āsiyā-e-falak
ho chuke surma ham to ab pis ke
jī se rahte haiñ apne us pe nisār
dil se hote haiñ dost ham jis ke
go nahīñ ab kabhī to ai pyāre
ham bhī the yaar terī majlis ke
tū to ḳhush hai ki tere kūche meñ
ek taḌpā kare aur ik siske
mar ga.e par bhī ye 'hasan' na muñde
muntazir chashm the tire kis ke
Top Urdushayar.com