ḳhvāh sach jaan mirī baat ko tū ḳhvāh ki jhuuT
sach kahūñ sach ko agar tere to vallāh ki jhuuT
sach agar bole tū ham se to bhalā kyā ho ḳhushī
jī meñ jī aatā hai sun kar tirā har gaah ki jhuuT
raast gar pūchhe to hai raast ki tujh meñ nahīñ mehr
apnī haT-dharmī se kahtā hai tū ai maah ki jhuuT
jhūT-mūT un se maiñ kuchh maslahatan bolūñgā
sach hai tū bol na uThiyo dil-e-āgāh ki jhuuT
maiñ jo pūchhā ki tujhe ġhairoñ se hai raah to vo
pher kar muñh ko lagā kahne be-ikarāh ki jhuuT
koī itnā bhī burā kartā hai merī hī tarah
kyuuñ bhalā sach hai na ye ai but-e-dil-ḳhvāh ki jhuuT
dil to vāqif hai bahut vaañ se Tuk ik sach kahnā
lāvbālī hai mire yaar kī dargāh ki jhuuT
mujh se jab miltā hai tab chheḌ ke pūchhe hai yahī
ye 'hasan' sach hī to rakhtā hai mirī chaah ki jhuuT
kyā javāb us kā mire paas ba-juz ḳhāmoshī
yā magar ye ki yahī har gah kahūñ aah ki jhuuT