Meer Hasan

bas gaya jab se yar aankhon mein

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786

bas gayā jab se yaar āñkhoñ meñ

tab se phūlī bahār āñkhoñ meñ

nazar aane se rah gayā az-bas

chhā gayā intizār āñkhoñ meñ

chashm-e-bad-dūr ḳhuub lagtā hai

tūtiyā-e-nigār āñkhoñ meñ

chashm-e-mast us dekhī thī ik roz

us khīñchā ḳhumār āñkhoñ meñ

mujh ko manzūr hai 'hasan' jo mile

ḳhāk-e-pā-e-nigār āñkhoñ meñ

Top Urdushayar.com