Meer Hasan

jab talak tir tera aawe hai naKHchir talak

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
jab talak tiir tirā aave hai naḳhchīr talak
le ye naḳhchīr hī aa pahuñchā tire tiir talak
dast-o-pā maare bahut chāh-e-zanaḳh meñ dil ne
haath lekin na gayā zulf kī zanjīr talak
shukr-sad-shukr ki uqde yuuñ hī hal hote ga.e
kaam pahuñchā na hamārā kabhī tadbīr talak
us kī sūrat kā divānā huuñ ki jis kā ḳhat-o-ḳhāl
na gayā mānī-o-bahzād kī tahrīr talak
hai yahī shauq shahādat kā agar dil meñ to ishq
le hī pahuñchegā hameñ bhī tirī shamshīr talak
ik musalmān kā jī jaatā hai ulfat meñ tirī
jā kahe koī ye us kāfir-e-be-pīr talak
jab talak zar hai to sab koī hai phir koī nahīñ
sach hai makkhī bhī rahe hai shakar-o-shīr talak
is tarah baiTh gayā ḳhāna-e-dil merā ki bas
kaam phir us kā na pahuñchā kabhī ta.amīr talak
ḳhuun ho ho ke Tapaktā hai ye sau rañg se dil
tā kisī rañg meñ pahuñche tirī tasvīr talak
maiñ bhī ik ma.anī-e-pechīda ajab thā ki 'hasan'
guftugū merī na pahuñchī kabhī taqrīr talak
Top Urdushayar.com