Meer Hasan

koi nahin ki yar ki lawe KHabar mujhe

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
koī nahīñ ki yaar kī laave ḳhabar mujhe
ai sail-e-ashk tū hī bahā de udhar mujhe
yā sub.h ho chuke kahīñ yā maiñ hī mar chukūñ
ro baiThūñ is sahar hī ko maiñ yā sahar mujhe
na dair hī ko samjhūñ huuñ na ka.aba ye tirā
phirtā hai ishtiyāq liye ghar-ba-ghar mujhe
minnat to sar pe tesha kī farhād tab maiñ luuñ
jab sar paTakne ko na ho dīvār-o-dar mujhe
kyā jā.ūñ jā.ūñ kartā hai jānāñ to baiTh jā
maiñ dekhūñ tujh ko aur tū dekh ik nazar mujhe
phir koī dam meñ aah ḳhudā jaane ye falak
le jaave kis taraf ko tujhe aur kidhar mujhe
ronā kabhī jo ā.ankhoñ bhī dekhā na thā 'hasan'
so ab falak ne dil kā kiyā nauhagar mujhe
Top Urdushayar.com