Meer Hasan

na barg hun main gul ka na lale ka shajar hun

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
na barg huuñ maiñ gul kā na laale kā shajar huuñ
maiñ laḳht-e-dil-e-rīsh huuñ aur dāġh-e-jigar huuñ
huuñ dair meñ na ka.abe meñ na dil hī meñ apne
kyā jānoñ tajassus meñ tirī aah kidhar huuñ
paidā hue aur jaate rahe saikḌoñ mujh se
ātish-kada-e-dahr meñ ik maiñ bhī sharar huuñ
na ziist kā haz hai na mujhe maut kā ārām
huuñ naza.a meñ jaise ki idhar huuñ na udhar huuñ
vaañ dhyān kabhī tujh ko guzartā nahīñ merā
maiñ huuñ ki tirī yaad meñ yaañ aaTh pahar huuñ
na duud huuñ mujmir kā na maiñ sham.a kā sho.ala
maiñ nāla-e-shab-gīr huuñ aur āh-e-sahar huuñ
ḳhālī nahīñ mujh se haram-o-dair-o-dil-o-chashm
maiñ maz.har-e-haq huuñ ki jidhar dekho tidhar huuñ
paatā hī nahīñ raah kisī dil meñ ilāhī
maiñ kis dil-e-nākām kī aahoñ kā asar huuñ
na shīsha-e-mai huuñ na 'hasan' sāġhar-e-labrez
maiñ ik dil-e-pur-dard huuñ aur dīda-e-tar huuñ
Top Urdushayar.com