Meer Hasan

is dil mein apni jaan kabhi hai kabhi nahin

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
is dil meñ apnī jaan kabhī hai kabhī nahīñ
ābād ye makān kabhī hai kabhī nahīñ
ġhairoñ kī baat kyā kahūñ is kī to yaad meñ
apnā bhī mujh ko dhiyān kabhī hai kabhī nahīñ
vo din ga.e jo karte the ham muttasil fuġhāñ
ab āh-e-nā-tavān kabhī hai kabhī nahīñ
jis aan meñ rahe tū use jaan muġhtanim
yaañ kī har ek aan kabhī hai kabhī nahīñ
ayyām-e-vasl par to bharosa na kījiyo
ye vaqt merī jaan kabhī hai kabhī nahīñ
aadat jo hai hamesha se us kī so hai ġharaz
vo ham pe mehrbān kabhī hai kabhī nahīñ
is dostī kā terī talavvun-mizājī se
apne ta.iiñ gumān kabhī hai kabhī nahīñ
maġhrūr hojiyo na is auj-o-hasham pe tū
yaañ kī ye izz-o-shān kabhī hai kabhī nahīñ
āshiq kahīñ huā hai 'hasan' kyā hai us kā haal
ye aap meñ javān kabhī hai kabhī nahīñ
Top Urdushayar.com