Meer Hasan

aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baiThe hum

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
aan kar ġham-kada-e-dahr meñ jo baiThe ham
sham.a saañ apne ta.iiñ aap hī ro baiThe ham
ishq ke haath se kashtī-e-shikasta kī tarah
aap apne ta.iiñ ro ro ke Dubo baiThe ham
gar yahī tere ishāre haiñ to majlis se tirī
kui na kui aa ke uThā devegā go baiThe ham
tum jo uThne ko hue the to chale the ham bhī
ab jo yuuñ aap kī marzī hai to lo baiThe ham
siina ḳhālī nahīñ hotā hai na thamte haiñ ashk
kab se rote haiñ dil-e-ḳhūñ-shuda ko baiThe ham
ġhair kahte haiñ ki ham baiThne deveñge na yaañ
ab to is zid se jo kuchh hove so ho baiThe ham
ashk ā.ankhoñ se to ma.adūm hue the kad ke
haath ab girya-e-ḳhūnī se bhī dho baiThe ham
aur to kuchh nahīñ yaañ itnā ḳhafā hote ho kyuuñ
kyā huā aap ke nazdīk jo ho baiThe ham
aarzū dil kī bar aa.ī na 'hasan' vasl meñ aur
lazzat-e-hijr ko bhī muft meñ kho baiThe ham
Top Urdushayar.com