yaañ se paiġhām jo le kar ga.e ma.aqūl ga.e
us kī bātoñ meñ lage aise ki sab bhuul ga.e
tū to ma.ashūq hai tujh ko to bahut āshiq haiñ
ġham unhoñ kā hai jo vo jaan se nirmūl ga.e
be-kalī apnī kā iz.hār to kartā nahīñ maiñ
gul-ruḳhāñ dekh ke tum mujh ko abas bhuul ga.e
kyūñki khaTkā na rahe sab ko udhar jaane kā
aah kyā kyā na usī ḳhaak meñ maqbūl ga.e
apnī nekī o badī chhoḌ ga.e duniyā meñ
garche donoñ na rahe qātil o maqtūl ga.e
zulf meñ us kī bahut rah ke na itrā.īyo dil
mujh se kitne hī mirī jaan yahāñ jhuul ga.e
pahlī bātoñ kā mohabbat kī 'hasan' zikr na kar
bas vo dastūr ga.e aur vo ma.amūl ga.e