Meer Hasan

mujhko aashiq kah ke uske ru-ba-ru mat kijiyo

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
mujh ko āshiq kah ke us ke rū-ba-rū mat kījiyo
dostāñ gar dost ho to ye kabhū mat kījiyo
jis adā kā kushta huuñ maiñ vo rahe mere hī saath
us adā ko mubtazil ai ḳhūb-rū mat kījiyo
vaqt-e-ruḳhsat dil ne itnā hī kahā ro kar ki bas
ab phir aane kī mire tū aarzū mat kījiyo
maiñ to yūñhī tum se dīvāna sā baktā huuñ kahīñ
us ke aage dostāñ ye guftugū mat kījiyo
zulf ke kūche se ho gulshan meñ guzre hai sabā
aaj vaañ jā kar guloñ ko koī bū mat kījiyo
kal ke jhagḌe meñ bhalā hai kis ke yaaro haq ba-tarf
vājibī jo ho so kahiyo merī rū mat kījiyo
vaañ 'hasan' hargiz nahīñ hai Dhiil phir jaane meñ kuchh
āshnā.ī par bharosa us kī tū mat kījiyo
Top Urdushayar.com