kyā kaheñ pūchh mat kahīñ haiñ ham
tū jahāñ hai ġharaz vahīñ haiñ ham
kyā kaheñ apnā ham nasheb-o-farāz
āsmāñ gaah gah zamīñ haiñ ham
vahm meñ apne the bahut kuchh lek
ḳhuub dekhā to kuchh nahīñ haiñ ham
ham ko nākāra jaan mat le le
tere hī naam ke nagīñ haiñ ham
maiñ jo pūchhā kahāñ ho tum to kahā
tujh ko kyā kaam hai kahīñ haiñ ham
apne uqde kisī tarah na khule
kis dil-āzār kī jabīñ haiñ ham
ham na tīr-e-shahāb haiñ na sumūm
nāla-o-āh-e-ātishīñ haiñ ham
būd-o-nābūd meñ ġharaz apne
jis tarah se ki ham-nashīñ haiñ ham
kyā kaheñ pūchh mat ba-qaul 'ziyā'
ek dam haiñ so vāpsīñ haiñ ham