Meer Hasan

munh apna KHushk hai aur chashm tar hai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
muñh apnā ḳhushk hai aur chashm tar hai
tire ġham meñ ye sair-e-bahr-o-bar hai
ḳhabar le dil kī us se jis kā ghar hai
kisī ke ghar kī ham ko kyā ḳhabar hai
vo ab kyūñkar na khīñche aap ko duur
hamāre chāhne kā ye asar hai
hameñ kuchh vo nahīñ haiñ aah varna
vahī hai shaam aur vo hī sahar hai
hameñ dekho na dekho tum hameñ to
tumhārā dekhnā madd-e-nazar hai
sunā le marte marte gul ko bulbul
koī naala tire dil meñ agar hai
uThātā hai jo roz uTh dard-o-ġham ko
kise tāqat hai merā hī jigar hai
kabhī bastā thā ik aalam yahāñ bhī
ye dil jo ab ki ujḌā sā nagar hai
kahā chāhe hai kuchh kahtā hai kuchh aur
'hasan' dhyān in dinoñ terā kidhar hai
Top Urdushayar.com