aap ko us ne ab tarāshā hai
qahr hai zulm hai tamāshā hai
us ko lete baġhal meñ Dartā huuñ
nāzukī meñ vo shīsha bāshā hai
kyuuñ kahūñ apne sīm-tan kā haal
gaah tola hai gaah māshā hai
tire kūche se uTh nahīñ saktā
kis vafā-kushta kā ye lāsha hai
gar farishta bhī ho 'hasan' to vahāñ
gaalī aur jhiḌkī be-tahāshā hai