Meer Hasan

teri madad se tera idrak ho sake hai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
terī madad se terā idrāk ho sake hai
varna is aadmī se kiyā ḳhaak ho sake hai
tū hī samajh samajh kar kar de maaf ham ko
terā hisāb ham se kab paak ho sake hai
ḳhatra nahīñ kisī kā jo chāhe kar sake hai
tujh sā koī jahāñ meñ bebāk ho sake hai
rone ko mere jaldī Tuk dekh khol āñkheñ
ab tak hai chashm merī namnāk ho sake hai
lākhoñ kā dil jalāyā lākhoñ kā jī khapāyā
tujh se koī ziyāda saffāk ho sake hai
vo jald dastiyoñ ke jaate rahe zamāne
ab haath se garebāñ kab chaak ho sake hai
jo kuchh sharāb meñ haiñ kaifiyyateñ nashe kī
tujh meñ mazā ye koī tiryāk ho sake hai
us māh-rū ko bāham kar de 'hasan' se ik shab
gardish se terī itnā aflāk ho sake hai
Top Urdushayar.com