Meer Hasan

humse kar tu ki ya na kar iKHlas

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
ham se kar tū ki yā na kar iḳhlās
ham ko hai tujh se yaar par iḳhlās
apne muḳhlis kī baat kā hargiz
mat burā maan hai agar iḳhlās
mere aur us ke kyūñki sohbat ho
pamba se kab rakhe sharar iḳhlās
ḳhuun ho kar bhī terī tarf bahe
tujh se rakkhe the dil jigar iḳhlās
hai ġhanīmat rahe jo koī din
ham meñ aur us meñ yak-digar iḳhlās
vo nahīñ vaqt ab ki har yak meñ
dekhte the jidhar-tidhar iḳhlās
is zamāne meñ ai 'hasan' mat pūchh
hai mohabbat kahāñ kidhar iḳhlās
Top Urdushayar.com