Meer Hasan

dekh darwaze se mujhko wo pari-ru haT gai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
dekh darvāze se mujh ko vo parī-rū haT ga.ī
dekhte hī us ke merī jaan bas chaT-paT ga.ī
tum udhar dhote rahe muñh ham idhar rote rahe
rote-dhote do ghaḌī baare maze se kaT ga.ī
gard-e-kulfat bas-ki chhā.ī dil se tā ā.ankhoñ talak
nahr thī jaarī jo ā.ankhoñ kī mire so paT ga.ī
jī adā ne zulf ne dil hosh ġhamzoñ ne liyā
jins-e-hastī apnī sab ġhārat meñ aa kar baT ga.ī
parde hī parde meñ dil ko ḳhaak kar Daalā mire
is adā se vo parī muñh par liye ghuñghaT ga.ī
zulf gar chhidrī huī tere to mat khā pech-o-tāb
kyā huā az-bas uThā.e bojh dil ke luT ga.ī
kal jo merā ḳhush-nigah guzrā chaman se ai 'hasan'
muuñd lī bādām ne aañkh aur nargis kaT ga.ī
Top Urdushayar.com