dildār dil is tarah baham aa.e nazar meñ
jis tarah guhar aab meñ aur aab guhar meñ
ik baar bhī dekhā na use paas se jā kar
aayā hī nazar vo to kahīñ rāhguzar meñ
har-chand ki hai shām-o-sahar vo hī par us bin
vo lutf na ab shaam meñ hai aur na sahar meñ
qismat se madad chāhtā huuñ itnī ki har vaqt
mānind-e-sabā saath rahūñ us ke safar meñ
ik baar to naale kī ho ruḳhsat hameñ sayyād
pinhāñ rakheñ ham kab ta.iiñ fariyād jigar meñ
hosh-o-ḳhirad-o-sabr-o-tavāñ uTh chale ik ek
jaate hī tire chaal paḌī dil ke nagar meñ
kīdhar ko nikal jāveñ 'hasan' kyā kareñ ham aah
bāhar hī ye dil apnā na lagtā hai na ghar meñ