Meer Hasan

dil ki zamin se kaun si behtar zamin hai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
dil kī zamīñ se kaun sī behtar zamīn hai
par jaan tū bhī ho to ajab sar-zamīn hai
sar ko na pheñk apne falak par ġhurūr se
tū ḳhaak se banā hai tirā ghar zamīn hai
rotā phirā hai kaun ye sar-gashta ai falak
jīdhar nazar paḌe hai udhar tar zamīn hai
ā.īne kī tarah se nazar hai tū dekh le
raushan-diloñ kī ghar kī munavvar zamīn hai
shāyad nahā ke aaj nichoḌī hai tū ne zulf
ghar kī tamām terī muambar zamīn hai
giitī ne zer-e-charḳh rakhā hai sabhoñ ko thaam
is kashtī-e-jahān kī lañgar zamīn hai
le dil se chashm tak mire dariyā sā hai bharā
donoñ gharoñ kī ġharq sarāsar zamīn hai
avval yahī hai bā.is-e-ḳhūñ-rezī-e-jahāñ
zevar hai zan hai zor hai yā zan zamīn hai
is tañgnā-e-dahr se jā.ūñ kidhar nikal
ūdhar hai āsmān aur īdhar zamīn hai
juz ḳhūn-e-kohkan na uge vaañ se koī gul
shīrīñ kī rāh-e-ishq kī patthar zamīn hai
rauñde ho naqsh-e-pā kī tarah jis ko tum 'hasan'
dekhoge koī din yahī sar par zamīn hai
Top Urdushayar.com