gul hai zaḳhmī bahār ke hāthoñ
dil hai sad-chāk yaar ke hāthoñ
dam-ba-dam qat.a hotī jaatī hai
umr lail-o-nahār ke hāthoñ
jāñ-ba-lab ho rahā huuñ misl-e-habāb
maiñ tire intizār ke hāthoñ
ek dam bhī milā na ham ko qarār
is dil-e-be-qarār ke hāthoñ
apnī sar-gashtagī kabhī na ga.ī
gardish-e-rozgār ke hāthoñ
ik shagūfa uThe hai roz nayā
is dil-e-dāġh-dār ke hāthoñ
dil pe kyā kyā hue haiñ naqsh-o-nigār
nāvak-e-dil-figār ke hāthoñ
ho rahā hai ḳharāb ḳhāna-e-dil
dīda-e-ashk-bār ke hāthoñ
gar kabhī lag gayā tirā dāman
merī musht-e-ġhubār ke hāthoñ
chhūTnā hai phir us kā amr-e-muhāl
is tire ḳhāksār ke hāthoñ
ik dil ḳhaar ḳhaar huuñ maiñ 'hasan'
apne us gul-ezār ke hāthoñ