Meer Hasan

nazar karo wahdat o kasrat baham shamil hain shishe mein

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
nazar karo vahdat o kasrat baham shāmil haiñ shīshe meñ
agar shīsha hai mahfil meñ to ye mahfil hai shīshe meñ
dil-e-nāzuk meñ āshiq ke nahīñ hai saḳht-jānī ye
fusūn-e-fikr se utrī huī ik sil hai shīshe meñ
na jā tū jaam par jamshed ke aa dekh miinā ko
yahāñ kaifiyyat-e-har-do-jahāñ hāsil hai shīshe meñ
likhā hai apne dil meñ naam terā maiñ ne san.at se
vagarna harf kā likhnā bahut mushkil hai shīshe meñ
nahīñ hai daaġh ye dil meñ ki jis se siina raushan hai
jo dekhā ḳhuub to aks-e-mah-e-kāmil hai shīshe meñ
parī-rū shīsha-e-dil meñ to hai par kyūñki dekhūñ maiñ
ki jab dekhūñ to apnā aks hī haa.il hai shīshe meñ
'hasan' gar pārsā huuñ maiñ to nā-chārī se huuñ varna
nazar hai jaam par merī sadā aur dil hai shīshe meñ
Top Urdushayar.com