Meer Hasan

shab ko tum humse KHafa ho kar sahar ko uTh gae

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
shab ko tum ham se ḳhafā ho kar sahar ko uTh ga.e
sham.a saañ ro ro ke ham bhī dil jigar ko uTh ga.e
the abhī to paas hī apne qarār-o-hosh-o-sabr
tere aate hī na-jāne vo kidhar ko uTh ga.e
tū na niklā ghar se bāhar sub.h se le shaam tak
dekh dekh āḳhir tire dīvār-o-dar ko uTh ga.e
kis se pūchhūñ haal maiñ bāshiñdagān-e-dil kā haa.e
is nagar ke rahne vaale kis nagar ko uTh ga.e
ai ḳhushā ve jo ki vārasta ta.alluq se hue
jis jagah chāhā rahe chāhā jidhar ko uTh ga.e
dair-o-ka.aba hī ko jaanā kuchh nahīñ lāzim ġharaz
jis taraf paa.ī ḳhabar us kī udhar ko uTh ga.e
shahr meñ rone ke hāthoñ jab na rahne paa.e ham
koh-o-sahrā kī taraf le chashm-e-tar ko uTh ga.e
pūchhtā hai haal kyā āvārgān-e-hind kā
kuchh idhar ko uTh ga.e aur kuchh udhar ko uTh ga.e
tū akelā us jagah baiThā karegā kyā 'hasan'
tere sāthī to kabhī ke apne ghar ko uTh ga.e
Top Urdushayar.com