Meer Hasan

hum na tanha us gali se jaan ko kho kar uTh gae

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
ham na tanhā us galī se jaañ ko kho kar uTh ga.e
saikḌoñ yaañ zindagī se haath dho kar uTh ga.e
dekhne paa.e na ham ashkoñ kā apne kuchh samar
tuḳhm goyā yaas ke ye the jo bo kar uTh ga.e
kal tire bin baaġh maiñ kuchh dil na apnā jo lagā
ashk-e-ḳhūnīñ meñ guloñ ko ham Dubo kar uTh ga.e
loTte haiñ is adā-o-nāz par aur ġhash meñ ham
the vo ahmaq jo ki terī khā ke Thokar uTh ga.e
jān-o-dil ham ik jagah baiThe the kūche meñ tire
pāsbāñ ke haath se āvāra ho kar uTh ga.e
tū gayā thā DhūñDhne un ko kahāñ ve to 'hasan'
tere ghar meñ aa.e baiThe leTe so kar uTh ga.e
Top Urdushayar.com