Meer Hasan

maza be-hoshi-e-ulfat ka hoshyaron se mat puchho

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
mazā be-hoshī-e-ulfat kā hoshyāroñ se mat pūchho
azīzāñ ḳhvāb kī lazzat ko be-dāroñ se mat pūchho
hameñ kuchh daḳhl in bātoñ meñ sunte ho nahīñ mutlaq
haqīqat bevafā.ī kī vafādāroñ se mat pūchho
jo pūchho to azīzāñ dil se pūchho yā ki tum ham se
hamārī aur us kī baat aġhyāroñ se mat pūchho
ga.e ve din jo rahte the jahāñ-ābād meñ ham bhī
ḳharābī shahr kī sahrā ke āvāroñ se mat pūchho
guloñ ko kab ḳhabar hai hāl-e-zār-e-andalīboñ se
haqīqat muflisoñ kī aah zar-dāroñ se mat pūchho
vo dil rakhte haiñ apnā paas apne balki ġhairoñ kā
haqīqat be-diloñ kī aah dil-dāroñ se mat pūchho
ḳhabar dil kī agarche ho mire ashkoñ se tum sun lo
ye vāqif ḳhuub haiñ us ghar se harkāroñ se mat pūchho
unhoñ kā jal rahā hai dil ḳhudā jaane ki kyā boleñ
mirā ahvāl koī mere ġham-ḳhvāroñ se mat pūchho
ye apne haal hī meñ mast haiñ in ko kisī se kyā
ḳhabar duniyā vamā-fīhā kī mai-ḳhvāroñ se mat pūchho
huā hai in dinoñ vo āshnāoñ se bhī begāna
ḳharābī ko 'hasan' kī āj-kal yāroñ se mat pūchho
Top Urdushayar.com