naujavānī kī diid kar liije
apne mausam kī iid kar liije
kaun kahtā hai kaun suntā hai
apnī guft-o-shunīd kar liije
ab ke bichhḌe miloge phir ki nahīñ
kuchh to va.ada va.iid kar liije
apne gesū darāz ke mujh ko
silsile meñ murīd kar liije
hai masal ek naah sad āsān
yaas hī ko ummīd kar liije
haañ adam meñ kahāñ hai ishq-e-butāñ
is ko yaañ se ḳharīd kar liije
vasl tab ho udhar jab īdhar se
pahle qat-o-burīd kar liije
qatl kyā be-gunah kā mushkil hai
chāhiye jab shahīd kar liije
us kī ulfat meñ rote rote 'hasan'
ye siyah ko sapīd kar liije