Meer Hasan

kyunkar bhala lage na wo dildar dur se

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
kyūñkar bhalā lage na vo dildār duur se
duunī bahār deve hai gulzār duur se
nazdīk hī se sharm hai itnā to ho bhalā
dekhā kareñ kabhī kabhī dīdār duur se
jī to bharā na apnā kisī tarah kyā huā
dekhā agar use sar-e-bāzār duur se
be-iḳhtiyār uThtī hai buniyād-e-be-ḳhudī
aatī hai jab nazar tirī dīvār duur se
nazdīk Tuk biThā ke 'hasan' kā to haal dekh
aayā hai qasd kar ke ye bīmār duur se
Top Urdushayar.com