dil bichhaḌ kar jo chalā us but-e-maġhrūr talak
dekhtā maiñ bhī gayā us ke ta.iiñ duur talak
jaan jaave ki na jaave rahe sar yā na rahe
chhoḌne ke nahīñ ham tujh ko to maqdūr talak
ab nahīñ vaqt taġhāful kā sun ai yār-e-azīz
pahuñchiyo jald zarā is dil-e-ranjūr talak
ham bhī tab tak haiñ ki yaañ jalva hai jab tak terā
hastī-e-sāya bhī sach pūchho to hai nuur talak
zaḳhm-e-dil ishq ke ghar kā to dar-e-daulat hai
bhej marham ko na hamdam mire nāsūr talak
qāsid-o-nāma-o-paiġhām kī mat kah ki sabā
ab to vaañ se nahīñ aatī dil-e-mahjūr talak
mar ga.e din hī ko ham hijr meñ sad-shukr 'hasan'
kaam pahuñchā na hamārā shab-e-dījūr talak