kahtā na thā maiñ ai dil tū us se jī lagā na
us kā to kyā gayā ab terā hī jī gayā na
sau baar maiñ ne jhāñkā chilman se us ko lekin
itnā kahā na us ne kyā dekhtā hai aa na
maiñ ḳhuub ro chukā huuñ zālim bas aur mujh ko
āzurdagī kī bāteñ kah kah ke tū rulā na
jaate hī yaar ke tū kahtā thā mar rahūñgā
vaqt-e-vidā.a ai dil āḳhir tū mar gayā na
kal maiñ ne hañste hañste pūchhā ki koī dam yaañ
farmā.iye to maiñ bhī baiThā rahūñ ki yā na
tevrī chaḌhā ke bolā chal chal ḳhabar le apnī
jī lag rahā hai terā jīdhar tū apne jā na
kahtā na thā ki har dam us kī galī meñ mat jā
is baat kā ab āḳhir charchā 'hasan' huā na