us kī jab bazm se ham ho ke ba-tañg aate haiñ
apne saath aap hī karte hue jañg aate haiñ
husn meñ jab ta.iiñ garmī na ho jī deve kaun
sham-e-tasvīr ke kab gird patañg aate haiñ
dil ko kis bū-qalamoñ jalve ne hai ḳhuun kiyā
ashk ā.ankhoñ se jo ye rañg-ba-rañg aate haiñ
aah ta.azīm ko uThtī hai mire siine se
dil pe jab us kī nigāhoñ ke ḳhadañg aate haiñ
shart gar pūchho to hai is meñ bhī qismat varna
āshiqī karne ke har ek ko Dhañg aate haiñ
naḳhl-e-vahshat bhī magar un kā samar rakhtā hai
har taraf se jo ye dīvāroñ pe sañg aate haiñ
hairat-afzā hai ajab kūcha-e-dildār 'hasan'
jo vahāñ jaate haiñ is tarf se dañg aate haiñ