ham qatl ho ga.e nahīñ tujh ko ḳhabar hanūz
bāñdhe phire hai ham pe miyāñ tū kamar hanūz
sau sau tarah ke vasl ne marham rakhe vale
zaḳhm-e-firāq haiñ mire vaise hī tar hanūz
kholī thī ḳhvāb-e-nāz se kis ne ye uTh ke zulf
laatī hai bū-e-nāz nasīm-e-sahar hanūz
va.adoñ pe tere kaam bhī merā huā tamām
bāteñ hī tū banāyā kiyā yaar par hanūz
jo duudh kā jalā ho piye chhāchh phūñk phūñk
huuñ vasl meñ pe hijr se hai mujh ko Dar hanūz
bhūle se tū ne pyaar kī ik din kahī jo baat
rotā huuñ dil hī dil meñ use yaad kar hanūz
ujḌe hazār shahr 'hasan' aur phir base
ābād par huā na ye dil kā nagar hanūz