Meer Hasan

jald husn-o-jamal jata hai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
jald husn-o-jamāl jaatā hai
nahīñ rahtā ye haal jaatā hai
jab talak dekhtā nahīñ us ko
dil meñ kyā kyā ḳhayāl jaatā hai
kaun se vaqt arz-e-hāl karūñ
vo to har vaqt Taal jaatā hai
jis kā hotā hai ġham se dil bhārī
vo tire dar pe Daal jaatā hai
sarsoñ āñkhoñ meñ kyuuñ na phūle ab
zard oḌhe do-shāl jaatā hai
saaf samjhā nahīñ mujhe āshiq
baat kahte sambhāl jaatā hai
jaan detā huuñ jald dekhūñ to
nāma-bar kaisī chaal jaatā hai
nukta-chīnoñ ne kuchh kahā to kyā
koī is meñ kamāl jaatā hai
kuchh rihā.ī nazar nahīñ aatī
yuuñ hī ab kā bhī saal jaatā hai
aah misl-e-shab-e-javānī jald
kyā ye roz-e-visāl jaatā hai
dilbarī vo sanam kare merī
kuchh bhalā ehtimāl jaatā hai
yuuñ ḳhudā kī ḳhudā.ī hai ma.amūr
par kab apnā ḳhayāl jaatā hai
tū to ḳhush ho 'hasan' ke jaane se
terā rañj-o-malāl jaatā hai
Top Urdushayar.com