Meer Hasan

wasl bhi hoga hasan tu Tuk to istiqlal kar

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
vasl bhī hogā 'hasan' tū Tuk to istiqlāl kar
haal apnā ham se kah kah ham ko mat behāl kar
sārbāñ garm-e-hudī hai aur jaras hai na.ara-zan
tū bhī Tuk mahmil ke aage gard-e-majnūñ haal kar
sham.a saañ jitnā sunāyā haal ro ro us ko maiñ
uTh gayā āḳhir vo sab bāteñ hañsī meñ Taal kar
mashq-e-jaur-o-zulm to kartā hī jaatā hai vo shoḳh
tū bhī dil sabr-o-tahammul kā ab istīmāl kar
aish-o-ishrat ko na de tū raah dil meñ ai 'hasan'
dard-o-ġham hī se kisī ke is ko mālā-māl kar
Top Urdushayar.com