yaar kā dhyān ham na chhoḌeñge
apnī ye aan ham na chhoḌeñge
jab talak dam meñ hai hamāre dam
tujh ko ai jaan ham na chhoḌeñge
tere hāthoñ se ai junūñ sābit
ye garebān ham na chhoḌeñge
hai baḌā kufr tark-e-ishq-e-butāñ
apnā īmān ham na chhoḌeñge
ba.ad majnūñ ke shor se ḳhālī
ye bayābān ham na chhoḌeñge
dil meñ aur ham meñ hai ye qaul-o-qarār
us ko har aan ham na chhoḌeñge
dil na chhoḌegā terā dāman aur
dil kā dāmān ham na chhoḌeñge
bin liye bosa aaj to tujh ko
maan mat maan ham na chhoḌeñge
hai 'hasan' vaañ yahī jo be-qaranī
kab talak shaan ham na chhoḌeñge