kyuuñ rañg-e-surḳh terā ab zard ho gayā hai
tū hī magar hamārā hamdard ho gayā hai
ve din ga.e ki dil meñ rahtā thā dard apne
ab dil nahīñ sarāpā ik dard ho gayā hai
itnā to farq mujh meñ aur dil meñ hai ki tujh bin
maiñ ḳhaak ho gayā huuñ vo gard ho gayā hai
hai chaak chaak siina kyūñkar chhupe tū dil meñ
ye to makān saarā be-pard ho gayā hai
kis tarah shaiḳh chheḌe ab duḳht-e-raz ko aa kar
is tarf se bechārā nāmard ho gayā hai
yaañ kyā na thā jo vaañ kī rakkhe 'hasan' tavaqqo
donoñ jahāñ se apnā dil sard ho gayā hai