Meer Hasan

sab naqsh is falak ke nagine pe aa rahe

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
sab naqsh is falak ke nagīne pe aa rahe
kār-e-jahāñ tamām kamīne pe aa rahe
aage jo dilbarī thī so āshiq-kushī hai ab
jo kaam mehr ke the so kiine pe aa rahe
ġhusse meñ josh maarā jo dariyā-e-husn ne
jalve nazākatoñ ke pasīne pe aa rahe
Dartā hai dil ki is pe taraqqī na ho kahīñ
milne ke vaqt ab to mahīne pe aa rahe
tū kuchh na bole aur maza ho ki merā haath
kāñdhe se tere mastī meñ siine pe aa rahe
dariyā-e-dil kī mauj se ḳhatra hai chashm ko
mat ye kahīñ uchhal ke safīne pe aa rahe
puulī tale guzar ga.ī lākhoñ kī umr ab
gumbad meñ koī kaun se jiine pe aa rahe
jin kā dimāġh arsh pe thā ab haiñ pā.emāl
koThe pe jo ki rahte the ziine pe aa rahe
ganj-e-nihāñ se dil ke to vāqif hue na ham
kyā fā.eda jo zar ke dafīne pe aa rahe
do din ke chāo-chūz 'hasan' ke vo ho chuke
phir rafta rafta apne qarīne pe aa rahe
Top Urdushayar.com