Meer Hasan

ai gard-baad tarf-e-chaman Tuk guzar kar

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
ai gard-bād tarf-e-chaman Tuk guzār kar
bulbul ke par paḌe haiñ guloñ par nisār kar
aa.e the aish ke liye so tū na yaañ milā
phir ġham-kada ko uTh chale ham apne haar kar
kyā muskurā ke Taale hai ab phir kab aa.egā
dil be-qarār hotā hai kuchh to qarār kar
dāġhoñ se dil ke siina to hai rashk-e-lāla-zār
haañ ashk-e-surḳh tū bhī to apnī bahār kar
dhajjī bhī ek chhoḌī na dāmān-o-jeb kī
dast-e-junūñ ne luuTā mujhe taar taar kar
vo bhī na aayā aur nazar aane se rah gayā
dekhā mazā na aur dil ab intizār kar
be-chīz to nahīñ ye 'hasan' us galī meñ roz
jā jā ke baat karte har ik se pukār kar
Top Urdushayar.com