Meer Hasan

ghair ko tum na aankh bhar dekho

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
ġhair ko tum na aañkh bhar dekho
kyā ġhazab karte ho idhar dekho
ḳhaak meñ mat milāo dil ko mire
jī meñ samho Tuk apnā ghar dekho
dekhnā zulf-o-ruḳh tumheñ har vaqt
shaam dekho na tum sahar dekho
gul hue jaate haiñ charāġh kī tarah
ham ko Tuk jald aan kar dekho
aap pe apnā iḳhtiyār nahīñ
jabr hai ham par kis qadar dekho
raam bātoñ meñ to vo ho na sakā
naqsh o afsūñ bhī koī kar dekho
laḳht-e-dil tum na samho mizhgāñ par
āshiqī kā ye hai samar dekho
vasl hotā nahīñ bhalā kyūñkar
apnī hastī se to guzar dekho
dekhte hī nahīñ to kyā kahiye
kahiye tab haal kuchh agar dekho
Dhalte ho tum butāñ udhar dil se
āj-kal jis ke haath zar dekho
ishq-bāzī se baaz aao 'hasan'
chhoḌ do apnā ye hunar dekho
Top Urdushayar.com