Meer Hasan

kaun karta hai sar-e-zulf ki baaten dil mein

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
kaun kartā hai sar-e-zulf kī bāteñ dil meñ
jī pe kaTtī haiñ ajab tarah kī rāteñ dil meñ
koī tarkīb mulāqāt kī bantī nahīñ aur
vasl ke roz kiyā karte haiñ ghāteñ dil meñ
go hameñ tū ne ye zāhir meñ navāzā par ham
dhyān meñ apne tirī khāte haiñ lāteñ dil meñ
turfa shatrañj-e-mohabbat kī hai ġhā.eb baazī
shātir-e-ishq ko ho rahtī haiñ māteñ dil meñ
kaun sī ān-o-adā hai ki nahīñ jī ko lage
khub rahī haiñ vo tirī sab harakāteñ dil meñ
zaat gar pochhiye aadam kī to hai ek vahī
laakh yuuñ kahne ko Thahrā.iye zāteñ dil meñ
vasl kā saad bhī ho.egā 'hasan' sabr karo
daftar-e-ishq kī dauḌeñ haiñ barāteñ dil meñ
Top Urdushayar.com