Meer Hasan

jaan-o-dil hain udas se mere

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
jān-o-dil haiñ udaas se mere
uTh gayā kaun paas se mere
koī bhī ab umiid baaqī hai
pūchhiyo dāġh-e-yās se mere
sab kī arzī se ḳhush ho tum lekin
ho ḳhafā iltimās se mere
shāyad uThne kā qasd tum ne kiyā
uḌ chale kuchh havās se mere
aish mujh tak to pahuñche tab jo Tale
fauj-e-ġham ās-pās se mere
duur hī duur phirte haiñ kuchh baḳht
ab to ummīd-o-yās se mere
kyā maiñ Thahrā.ūñ us ko dil meñ 'hasan'
hai vo bāhar qayās se mere
Top Urdushayar.com