sham.a saañ shab ke mehmāñ haiñ ham
sub.h hote to phir kahāñ haiñ ham
tum bin ai raftgān-e-mulk-e-adam
hastī apnī se sargirāñ haiñ ham
bāġhbāñ Tuk to baiThne de kahīñ
aah gum-karda āshiyāñ haiñ ham
dekhte haiñ usī ko ahl-e-nazar
go nihāñ hai vo aur ayaañ haiñ ham
na kisī kī suneñ na apnī kaheñ
naqsh-e-dīvār-e-bostāñ haiñ ham
jins-e-āsūdgī nahīñ ham paas
dard aur ġham ke kārvāñ haiñ ham
dil se naala nikal nahīñ saktā
yaañ talak ġham se nā-tavāñ haiñ ham
kyā kaheñ ham 'hasan' ba-qaul 'ziyā'
jis tarah se ki ab yahāñ haiñ ham
daaġh haiñ kārvān-e-rafta ke
naqsh-e-pā-e-guzishtagāñ haiñ ham