na baaġh se ġharaz hai na gulzār se ġharaz
hai bhī jo kuchh ġharaz to hameñ yaar se ġharaz
phirte haiñ ham to diid ko tere hī dar pe kuchh
raste se hai na kaam na bāzār se ġharaz
kahne se kyā kisī ke koī kuchh kahā kare
ham ko to ek us kī hai guftār se ġharaz
jī in dinoñ meñ aap se bhī hai ḳhafā va-lek
bezār jo nahīñ hai to dildār se ġharaz
phir phir ke aaj pūchhte ho dil kā haal kyuuñ
hai ḳhair tum ko kyā dil-e-bīmār se ġharaz
aane kā va.ada kar ki na kar ham ko ab tire
iqrār se na kaam na inkār se ġharaz
ham ko bhī dushmanī se tire kaam kuchh nahīñ
tujh ko agar hamāre nahīñ pyaar se ġharaz
sar-rishta jis ke haath lagā ishq kā use
tasbīh se na shauq na zunnār se ġharaz
dīñ-dār jo rakhe na 'hasan' mujh se kaam to
kāfir huuñ maiñ bhī rakhkhūñ jo dīñ-dār se ġharaz