kal jo tum īdhar se guzre ham nazar kar rah ga.e
jī meñ thā kuchh kahiye lekin aah Dar kar rah ga.e
jab na kuchh bas chal sakā apnā to phir hasrat se haa.e
dekh kar muñh ko tire ik aah bhar kar rah ga.e
sar bahut paTkā qafas meñ apnā ham ne ham-safīr
kui na pahuñchā daad ko fariyād kar kar rah ga.e
nāma-bar kī yā kabūtar kī ki dil kī rakhiye aas
apne to yaañ se ga.e jo vaañ vo mar kar rah ga.e
kal kisī kā zikr-e-ḳhair aayā thā majlis meñ 'hasan'
is dil-e-betāb par ham haath dhar kar rah ga.e