Meer Hasan

sab ko hai manzur us ruKHsar-e-gul-gun ki taraf

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
sab ko hai manzūr us ruḳhsār-e-gul-gūñ kī taraf
dekhtā hai kaun merī chashm-e-pur-ḳhūñ kī taraf
saath naaqa ke ḳhudā jaane kidhar ram kar ga.ī
gard-e-mahmil bhī na pahuñchī aah majnūñ kī taraf
jān-o-dil meñ be-tarah bigḌī hai tere ishq meñ
kījiye dil kī taraf yā jān-e-mahzūñ kī taraf
zulf-o-ruḳh hai roz-o-shab kyā dekhte rahte ho tum
munsifī se Tuk to dekho apne maftūñ kī taraf
ḳhizr tak kiijo madad tū bhī ki tā bhūle na raah
nāqa-e-lailā chalā hai aaj majnūñ kī taraf
garche haiñ terī hī gardish se nigah kī ham ḳharāb
par ishāra is kā kar dete haiñ gardūñ kī taraf
kyūñki aave chain tere vahshiyoñ ko ba.ad-e-marg
ḳhaak ho kar jab talak jāveñ na hāmūñ kī taraf
naam meñ bhī hai ayaañ āshiq kī āshufta-sarī
dekhte to hoge aksar bed-e-majnūñ kī taraf
bas-ki us kī zulf ke āshufta haiñ ham ai 'hasan'
sher meñ bhī dhyān hai pechīda mazmūñ kī taraf
Top Urdushayar.com