rakhtā hai sulh sab se dil us kā pa mujh se jañg
ġhairoñ ke haq meñ mom hai aur mere haq meñ sañg
kaisā visāl kis kā firāq aur kahāñ kā ishq
thī ālam-e-javānī kī bas ye bhī ik tarañg
kyā tab milegī aah mujhe ārzu-e-dil
mar jā.egī taḌap ke mire jī kī jab umañg
hairāñ maiñ apne haal pe chuuñ ā.īna nahīñ
aalam ke muñh ko dekh ke maiñ rah gayā huuñ dañg
aatā hai kyā nazar use sho.ale meñ sham.a ke
detā hai jān-būjh ke kyuuñ apnā jī patañg
letā thā naam ġhair nikal aayā merā naam
āḳhir jhalak gayā hai mohabbat kā rañg-Dhañg
vāqif nahīñ nishāñ se maiñ us yaar ke 'hasan'
jis ke liye uḌā diyā sab apnā nām-o-nañg