naġhma-o-ishq se haiñ sub.ha-o-zunnār mile
ek āvāz pe do saaz ke haiñ taar mile
maiñ to āshufta-e-dil aur dil āshufta-e-zulf
ḳhuub ham donoñ giraftār giraftār mile
maslahat hai ki tirī chashm ko hai dil se hijāb
rañj ho aur jo bīmār se bīmār mile
din tavaqqo hī tavaqqo meñ kahāñ tak guzreñ
mar ga.e hijr meñ bas ab to kahīñ yaar mile
apnī hī vaz.a pe lāveñge ḳhudā ḳhair kare
be-tarah rahte haiñ is shoḳh se ayyār mile
dard-o-rañj-o-alam o hasrat-o-dāġh o ġham-o-rashk
mujh ko kyā kyā na tire ishq meñ āzār mile
kyā baḌī umr hai dil meñ abhī guzrā thā mire
ki mazā hove jo aise meñ vo dildār mile
baare to aan hī pahuñchā mirā jī shaad huā
maiñ ne ab jaanā ki haiñ donoñ ke asrār mile
muuñd le jab tū in ā.ankhoñ ko jahāñ se tū 'hasan'
dil kī ā.ankhoñ se tujhe yaar kā dīdār mile