Tuk dekh leñ chaman ko chalo lāla-zār tak
kyā jaane phir ji.eñ na ji.eñ ham bahār tak
qismat ne duur aisā hī pheñkā hameñ ki ham
phir jīte-jī pahuñch na sake apne yaar tak
le jā.ūñ ab maiñ yaañ se kahāñ apnā āshiyāñ
dushman hai is chaman meñ mirā ḳhaar ḳhaar tak
dast-e-sitam darāz kiyā jab junūn ne
chhoḌā na mere paas garebāñ kā taar tak
phir bhī Tuk itnā us ko tū kah dījiyo sabā
jaave agar hamāre taġhāful-shi.ār tak
jiine kī sūrat us kī Thahartī hai koī dam
is vaqt meñ bhī pahuñcho jo us be-qarār tak
kah is zamīñ meñ ek ġhazal aur bhī 'hasan'
hai terī tab.a kahne par ab to hazār tak