Meer Hasan

na hum dua se ab na wafa se talab karen

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
na ham duā se ab na vafā se talab kareñ
ishq-e-butāñ meñ sabr ḳhudā se talab kareñ
dil ḳhaak ho gayā hai tirī rahguzār meñ
gar jā sakeñ vahāñ to sabā se talab kareñ
āḳhir ḳhushī to ishq se hāsil na kuchh huī
ham ab ġham-o-alam hī balā se talab kareñ
ġhamze ne le ke dil ko adā ke kiyā supurd
ġhamze se dil ko leñ ki adā se talab kareñ
daulat jo faqr kī hai so hai apne dil ke paas
vo chiiz ye nahīñ ki gadā se talab kareñ
darvāza go khulā hai ijābat kā par 'hasan'
ham kis kis aarzū ko ḳhudā se talab kareñ
Top Urdushayar.com