Meer Hasan

munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
muñh kahāñ ye ki kahūñ jā.iye aur so rahiye
ḳhuub gar niiñd hai to aa.iye aur so rahiye
takiya zaanū kā mire kījiye be-ḳhauf-o-ḳhatar
aap tashrīf idhar lā.iye aur so rahiye
aaj kī chāñdnī vo hai ki kisī shoḳh ke saath
khol āġhosh lipaT jā.iye aur so rahiye
yuuñ to hargiz nahīñ aane kī tumheñ niiñd magar
mujh se qissa mirā kahvā.iye aur so rahiye
gar raheñ ham bhī kahīñ pā.eñtī ab jaa.eñ kahāñ
aap itnā hameñ farmā.iye aur so rahiye
baḳht jaage haiñ shab-e-māh meñ jo yaar hai paas
chāñdnī taḳht pe bichhvāi.ye aur so rahiye
us adā kā huuñ maiñ dīvāna ki añgḌā.ī le
mujh se kahtā hai kahīñ jā.iye aur so rahiye
Dar ḳhudā kā hai nahīñ aur sanam ko le kar
ek jā par tujhe dikhlā.iye aur so rahiye
tapish-e-ishq kī garmī se jale jaate haiñ
chhāñv ThanDī kahīñ Tuk pā.iye aur so rahiye
ye bilā fikr se kuchh ned huī hai 'hasan'
jī meñ aatā hai ki kuchh khā.iye aur so rahiye
Top Urdushayar.com