Meer Hasan

aankhon se KHun apne ye kahta nahin na jae

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
āñkhoñ se ḳhuun apne ye kahtā nahīñ na jaa.e
par saath us ke lipTā huā dil kahīñ na jaa.e
itnī to chāhiye tujhe pās-e-shikasta-dil
jo aave tere yaañ so vo andohgīñ na jaa.e
sabr-o-qarār-o-hosh-o-ḳhirad sab ke sab ye jaa.eñ
par dāġh-e-ishq siine se ai ham-nashīñ na jaa.e
dair-o-haram meñ jā ke jo chāhe phir aa sake
par aave jo galī meñ tirī vo kahīñ na jaa.e
ham girya-nāk haiñ ye sadā se hai aib-posh
āñkhoñ se duur apne kahīñ āstīñ na jaa.e
hai pāra-e-aqīq jigar dekhiyo kahīñ
ai chashm tere haath se aisā nagīñ na jaa.e
nikle na jaan tan se 'hasan' kī to tab talak
jab tak tū us ke sar pe dam-e-vāpsīñ na jaa.e
Top Urdushayar.com